
Show Notes
Balak ka adig pratibandh, Shiv ke ganon tak ko rukne par majboor karta hai. Jid aur maryada ke is takraav mein bhadakta hai ek yudh, jismein shakti aur bhakti dono ki kasauti hoti hai. Par iska parinaam ban jaata hai vinash aur Parvati ka akrosh.
More from Vighnaharta Ki Gatha- RosePod Play
Parvati ke dukh ko shaant karne ke liye hota hai ek divya nirnay. Balak ko diya jata hai ek naya roop, aur ek naya naam — Ganesh, Vighnaharta, Ganapati. Tab se lekar aaj tak, har shubh kaarya ki shuruaat unhi ke naam se hoti hai. Aur isi kahani ka utsav hai Ganesh Chaturthi.
Kailash par shanti ke beech, Parvati ji apne ekant mein ek naya roop rachi. Mitti se janma ek balak — nirdosh par shaktishaali, jo unke dwar ka rakshak bana. Yehi shuruaat hai us gatha ki jo aage chal kar Vighnaharta ko janm degi.